Thursday, 19 March 2009

Aarambh

aarambh hai prachand
bole mastakon ke jhund
aaj jang ki ghadi ki tum guhaar do
aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan
aaj ik dhanush ke baan pe utaar do

aarambh hai prachand
bole mastakon ke jhund
aaj jang ki ghadi ki tum guhaar do
aan baan shaan yaa ki jaan kaa ho daan
aaj ik dhanush ke baan pe utaar do
aarambh hai prachand

man kare so praan de
jo man kare so praan le
wahi to ek sarvshaktimaan hai
man kare so praan de
jo man kare so praan le
wahi to ek sarvashaktimaan hai

krishna ki pukaar hai
ye bhagwat ka saar hai
ki yudh hi to veer ka pramaan hai
kaurvon ki bheed ho ya
paandavon ka need ho
jo lad saka hai wohi to mahaan hai

jeet ki hawas nahi
kisi pe koi vash nahi
kya zindagi hai thokaron pe maar do
maut ant hai nahi
to maut se bhi kyun dare
ye jaake aasmaan mein dahaad do

aarambh hai prachand
bole mastakon ke jhund
aaj jang ki ghadi ki tum guhaar do
aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan
aaj ik dhanush ke baan pe utaar do
aarambh hai prachand

ho daya ka bhaav
ya ki shaurya ka chunav
ya ki haar ka wo ghaav
tum ye soch lo
ho daya ka bhaav
ya ki shaurya ka chunav
ya ki haar ka wo ghaav
tum ye soch lo

ya ki poore bhaal par
jala rahe vijay ka
laal laal ye gulaal
tum ye soch lo

rang kesari ho ya
mridang kesari ho ya
ki kesari ho taal
tum ye soch lo

jis kavi ki kalpana mein
zindagi ho prem geet
us kavi ko aaj tum nakaar do
bheegati nason mein aaj
phoolati ragon mein aaj
aag ki lapat ka tum baghaar do

aarambh hai prachand


Best lyrics in a long time. Wish it were a poem in school books.