Wednesday, 14 November 2007

Botal ka naach (transliteration)



Me:
nasha sharaab mein hota to naachti botal


Achal:
jo hota nasha sharaab mein, to hote nashe mein dhutt,
kuch is kone mein kuch us kone mein, botal ke anshbhoot

fir na hoti tumhari botal,
na hi hota botal ka naach


Me:
Jo na nache botal nashe mein dhutt
To kya ud ke pahunche kone kone mein ashbhoot

Na botal nashe mein,
na nasha sharaab mein
Ye to zariya hai milane ka
Insaan ko rooh-o-rubaab mein

Jab khush hota hai banda mera,
Nachta hai lekar haath mein pyala
Jab hota hai vo gum mein choor,
Toote dil jaise tootati hai botal,
Phailte hain kone kone mein anshbhoot

Ilzaam fir aata hai sharaab par,
Nahin lagata tohmat koi kyun,Dil todne vale husn-e-shabaab par


Achal:
Humne jawaab maanga to na tha,
apne diya, aapki rahmat hai

1 comment:

Anonymous said...

nice! well built up.. interesting the way it came up. ;)
i'll remind you something :P
What happens to the microbes if you happen to spill alcohol on the pertiplates?
They grow on cover above the medium because they are on a high.
:P