Me: nasha sharaab mein hota to naachti botal
Achal:
jo hota nasha sharaab mein, to hote nashe mein dhutt,
kuch is kone mein kuch us kone mein, botal ke anshbhoot
fir na hoti tumhari botal,
na hi hota botal ka naach
Me:
Jo na nache botal nashe mein dhutt
To kya ud ke pahunche kone kone mein ashbhoot
Na botal nashe mein,
na nasha sharaab mein
Ye to zariya hai milane ka
Insaan ko rooh-o-rubaab mein
Jab khush hota hai banda mera,Nachta hai lekar haath mein pyala
Jab hota hai vo gum mein choor,
Toote dil jaise tootati hai botal,
Phailte hain kone kone mein anshbhoot
Ilzaam fir aata hai sharaab par,
Achal:
Humne jawaab maanga to na tha,
apne diya, aapki rahmat hai
1 comment:
nice! well built up.. interesting the way it came up. ;)
i'll remind you something :P
What happens to the microbes if you happen to spill alcohol on the pertiplates?
They grow on cover above the medium because they are on a high.
:P
Post a Comment